Sunday, 15 January 2017

zindagi ki talash

Ak din main ak shaks k pass baitha tha jo ak bazu or ak taang saay mehroom tha.or jis jaga wo baitha tha wahan bht umda tasaweer or hath ki bnai gai painting lagi hui theen.
main nay us say pucha!
Meray bai kia kr rhay ho aj kal...kis trha zindagi guzar rhay ho to kehnay lga hazoor "zindagi guzari nai jati yeh aisi cheez hai k chahtay na chahtay guzar jati hai".
main nay pucha to masruuf rehnay k liye kia krtay ho to bht hubsurat jwab detay huway bola masroofiyat b ALLAH pak ki dain hai.main ak bazoo or tang say mehroom zaruur hun.lakn itna jaanta hun k ALLAH nay sb ko kisi maqsad k liye he bnaya hai han ab us maqsad ko pehchanna or us pr amal krna hum pr hai.main nay kabi apni mazuri ko apni kamzori nai bannay diya yeh he wja hai k aj main ak behtreen artist hun main apnay ak hath say dunya ki khubsurati ko ak kagaz pr utarnay ka hunar jaanta hun muj main ALLAH nay kudrat ko ak alag Aankh say dekhnay ka hunar rakha hai.yeh he wja hai k meri bnai hui tasaweer aj lakhon main bikti hen...
main nay pucha to yeh sb tasaweer ap he nay bnai hui hen to kehnay lga.
G nai in main say ziada tar meray hath ki hen r kuch meray is cam say main nay safar k doran khainchi theen.
main us ki yeh tasaweer dekh kr itna heraan tha k main koi r sawal krnay k kabil na rha or wahan say uth kr wapsi k liye chalna shuru kia..! K peechay say awaz ai.haxorr insan chahay jaisa b ho jismani tor pr mukamal ho ya na-mukamal us ka ander mukamal hona chahiye jo is bat ki gawahi hai k uska ALLAH pr imaan hai k ALLAH koi kam bgair kisi wja kisi maqsad k nai krta.OR ALLAH BEHTREEN KAAR SAAZ HAI.